likh rahi hun tumhein apne dil ke sunahre warq pe abhi dekhna tum ujalon ki yurish mein kaise nikharti hun main main ne mana ki guzre dinon ki tamazat mein jhulsa hai man main ne mana hawas ke kharajat mein mar gaya hai badan shabnami raat ki aas mein aankhen banjar huin chand ki raushni se hawason pe chhaale pade main ne suraj se aankhen churane ki koshish nahin ki kabhi main ne apne lahu ko bacha kar rakha tha likkhungi kisi din sunahre waraq pe wo ek ahmarin nam jis ki chamak mere sare andheron ko zail karegi likhungi hawaon ke aanchal pe tum ko likhungi main indar-dhanush ki kaman par likkhungi tumhein apne wahm-o-guman par tumhein likh rahi hun main jharnon ki dhun par tumhein likh rahi hun main chidiyon ki gat par mere aansuon ne meri ruh ko nam rakha hai abhi tak tumhein likh rahi hun main un ankuron par jinhon ne tumhein ek chhitnar karne ka wada kiya hai