mujhe rasta nahin milta main jauhad mein khile phulon ke haq mein bol kar daldal ki tah mein dhans gaya hun mein nahin kahta ki ye kis aasman ka kaun sa sayyara-e-bad hai magar ye tah zamin ki aakhiri chhat hai yahan din hi nikalta hai na sham-e-umr dhalti hai parinda bhi nahin koi ki jis ke panw se koi nawishta bandh kar bhejun to samjhun us se milne ka bahana hath aaya hai sitara bhi nahin koi ki jis se guftugu thahre nawah-e-jism mein phaili khizar-asar tanhai meri sansen badhati hai mujhe is daldali goshe se jaane ka koi rasta nahin milta san ai meri khizar-asar tanhai meri khatir bhi thoda sa taraddud kar mujhe bhi to 'sikandar' ke janaze mein pahunchna hai mujhe bhi aab-e-haiwan se chhalakti maut ka nauha sunana hai mujhe bhi dur jaana hai san ai meri khizar-asar tanhai mujhe is tukhm-e-imkan ke dariche se nikalne de numu ki chaal chalne de mujhe rasta nahin milta