ubharti hai mere mathe ki silwat mein shikan dhage ke khinchne ki udhede ja rahi hun main bhi din-bhar se mujhe jab yaad aata hai ki main kitna ulajhti thi meri nani har ek kapde ko chahe wo naya hi kyun na ho ek bar kam se kam na jab tak apne hathon se udheden aur si len tab talak un ko sukun aata na tha main aksar sochti thi naqs kya hota hai aakhir har nae jode ke silne mein bhala dhage ke pichhe chhup ke aakhir kaun se aise masail hain jinhen main phir udhede ja rahi hun aur apne hath se phir se silai kar ke apne taur apne dhab se is kapde mein kaise rang bharti ja rahi hun is tarah kuchh pal safar to meri apni zat ke hamrah tai paya mujhe us pal mein khud mein meri man nani meri dadi har ek chehra nazar aaya