mujhe udte parinde achchhe lagte hain shararat se kabhi ye aasman ko chhu kar aate hain kabhi baadal mein chhupte hain sitaron ke shanasa chand se un ki rifaqat hai ye na-malum aur an-dekhi duniyaon ke waqif hum se zyaada jaante hain aasman ke bare mein wusat ke bare mein mujhe udte parinde achchhe lagte hain faza ki be-karan wusat mein ye udte parinde raqs karte hain to lagta hai ki jaise zindagi ka husn in ke bazuon in ke paron mein qaid hai ye udte hain na zanjir-e-giran hai koi panw mein na gardan mein koi tauq-e-ghulami hai ki jo insan ki khud-dari ye insaniyat pe zarb-e-kari ek lanat hai ye udte hain faza mein husn ki taswir banti hai ajab tahrir banti hai ki jis mein khwab mere hain ye khwab aazadi ke wusat faraaz-e-zindagi ke zindagi ke husn ke hain aur aazadi jo wusat hai faraaz-e-zindagi hai husn hai jo parindon ke paron mein sans leti hai mujhe udte parinde achchhe lagte hain