zindagi khwab mein runuma hone wala koi hadisa to nahin hai ki jis ke na hone aur hone ka ehsas bhi subh ki dhup mein kumhla jae phir us ke hone ki koi aziyyat na us ke na hone ka dukh apne chehre ki gahri lakiron mein ek tajrabe ka nishan ban ke zinda rahe zindagi khwab mein runuma hone wala koi hadisa to nahin hai jo socho to hai aur na socho nahin hai zindagi aaina hai ki jaise hi hum ko koi lamha chhu ke guzar jata hai lams ki gahri hiddat se wo lamha chehre par apne nishan chhod jata hai lamhe guzarte hain chehre pe bhi lams ke ye nishan badhte jate hain ek waqt aata hai wo sare lamhe jo dar-asl sab sanahe hain jo hum par guzarte hain aaine pe naqsh ho jate hain aur aaine mein jhurriyon ke siwa kuchh nazar tak bhi aata nahin zindagi khwab mein runuma hone wala koi hadisa to nahin hai ki jis ke na hone aur hone ka ehsas bhi subh tak na rahe