dar mat kholo nind ko andar mat aane do warna us ki ungliyan chhedengi us album ke safhe jis mein taswiren hain kal ke kuchh aasebon ki zikr chhidega un auqat ka dafn hain jin mein sab meri nakaam umiden meri be-ja kawish mere sulagte arman phir bhadkegi aag phir jhulsega aaj ka daman phir farda se nata todne wali baaten taza hongi mere hisse ki bachi hui kuchh kirnon ko andhiyara das lega batti nahin bujhao dar mat kholo nind ko andar mat aane do