sun ai hawa-e-be-dili abhi to chashm-e-tar mein un ki suraten rawan-dawan hain jin ke sans ki mahak mein ja chuki bahaar ka nikhaar hai ki jin ke khwab ki chamak palak palak bikharti aarzu mein paedar hai abhi to un ki khak ko zamin bhi nahin mili sun ai hawa-e-be-dili agarche is dayar mein har-ek-su kai ruton ki gum-shuda bahaar ka fishaar hai ghubar-e-intizar hai magar ye zard ghatiyan ye karwan-e-be-nishan safar ki intiha nahin dhuan dhuan hain jism-o-jaan magar zaban hai gul-fishan ki dil abhi mera nahin nazar mein hai wo fasl-e-gul jo ab talak nahin khili sun ai hawa-e-be-dili hamein usi zamin se rifaqat-e-yaqin hai milegi kisht-e-arzu ki raushni ki justuju mein raushni ka raaz hai hamare ird-gird ki har ek shai sawal hai un ungliyon ki por por sahab-e-kamal hai alwidaa alwidaa ai be-dili ki ye hamari dosti ka nuqta-e-zawal hai