mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang main ne samjha tha ki tu hai to darakhshan hai hayat tera gham hai to gham-e-dahr ka jhagda kya hai teri surat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat teri aankhon ke siwa duniya mein rakkha kya hai tu jo mil jae to taqdir nigun ho jae yun na tha main ne faqat chaha tha yun ho jae aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa an-ginat sadiyon ke tarik bahimana tilism resham o atlas o kamkhab mein bunwae hue ja-ba-ja bikte hue kucha-o-bazar mein jism khak mein luthde hue khun mein nahlae hue jism nikle hue amraaz ke tannuron se pip bahti hui galte hue nasuron se laut jati hai udhar ko bhi nazar kya kije ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang
This is a great dilkash shayari in urdu. True lovers of galti shayari urdu will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore giant shayari. Please share if you liked this!!!