kya ghazab hai husn ke bimar hone ki sada jaise kachchi nind se bedar hone ki ada inkisar-e-husn palkon ke jhapakne mein nihan nim-wa bimar aankhon se murawwat si ayan jumbish-e-mizhgan mein ghaltan saz-e-gham ka zer o bam khamushi mein par-fishan ifa-e-paiman ki qasam ehtiram-e-ishq ki rau dil-nashin aawaz mein ek phike-pan ka sannata dayar-e-naz mein al-aman aankhon ki nim-afsurda si afsun-gari ek dhundla sa tabassum ek thaki si dilbari chudiyan dhili dilai par shikan mathe pe hat lab pe khushki rukh pe sundha-pan nazar mein iltifat halki halki jhalkiyan rukhsar par yun nur ki jaise gul par subh-e-kazib ki suhani chandni le raha hai karwaten aariz mein yun rang-e-shabab jis tarah mauj-e-khiraman par ziya-e-mahtab husn yun khoya hua sa bazm-e-mahsusat mein jaise donon waqt milte hun bhari barsat mein yun hai ek raushan nami si chashm-e-sehar-andaz mein subh ko shabnam ho jaise mariz-e-parwaz mein jaise kohre mein koi tabinda manzar dur ka jaise pichhli raat ke sine pe dora nur ka aise izmehlal par duniya ki barnai nisar aisi bimari par ejaz-e-masihai nisar
This is a great bam bhole shayari. True lovers of tere chudiyan shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this masihi shayari hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!