adam wajud ke ma-bain fasla hai bahut ye fasla hamein ek roz tai to karna hai wo kisht-e-gul ho ki hum boen rah mein kante koi bhi fel ho par ek din to marna hai hamare pichhe hain wo bhi hamein aziz hain jo isi taraf se unhen ek din guzarna hai saba-burida bhi gul hain wafa guzida bhi dil ye baat zehn mein rakhni hai aur darna hai kisi ne pahle lagae the saya-dar shajar inhin ki chhanw mein baithe hain aaj hum aa kar