parson ne kal ko pala tha parwan chadhaya kal ne aaj aur aaj ki kokh se farda janm le raha hai jaise zamin ne suraj se zindagi pai thi aur chand ko zamin se rizq pahunch raha hai suraj zamin ka mazi aur chand us ka mustaqbil hai jaise jamadat se nabaatat se haiwanat ke baad insan paida ho gaya to zindagi ka safar yahan pahunch kar ruk jaega kya kya nietzsche ka insan-e-baala ba-qaul-e-zardshut ke auraq hi mein dafn ho kar rah jaega kya iqbaal ka shahin qasr-e-sultani ke gumbad hi mein basera kar lega kya quran ke mutabiq insan ka muntaha khuda nahin to kya hum khuda ki jaanib mahw-e-safar hain aur jab hum khuda tak pahunch jaenge to kya zindagi ka safar khatm ho jaega aur kya is maqam par waqt tham jaega tarikh tamam ho jaegi ya wahan se ek aur jahan shurua hoga ek naya aalam ek nai zindagi ek naya khuda? waise agar khuda hi ibtida aur khuda hi intiha hai to kya ibtida aur intiha ki takhsis be-mani nahin jaise jab daera mukammal ho jae to us ki ibtida aur intiha donon mit jati hain to kya haqiqat ek kaamil daera hai ibtida aur intiha ke baghair agar aisa hai to harkat kahan se aai kahin ye daera phailta aur sikudta to nahin rahta kya waqt ka rukh mazi se haal se mustaqbil ki jaanib hi rahta hai ya mustaqbil se haal se mazi ki taraf bhi ho sakta hai kya insan se haiwanat se nabaatat se jamadat ko lautna bhi mumkin hai aur kya ab aisa hi to nahin ho raha zahir hai insan par khuda ka rang to chadh nahin raha albatta haiwani sifat ne zarur ghar kar liya hai is mein shahr-e-insan se shahr-e-khuda ki jaanib to hum ja nahin rahe kahin hum qadam-ba-qadam jangal ki taraf to nahin palat rahe kya hamari mazi-parasti hamein haiwanat se nabaatat se jamadat tak to nahin le jaegi kya hum pichhe mud kar dekhne ke jurm mein patthar ke ho kar to nahin rah jaenge lekin kahte hain ki na-umid nahin hona chahiye ki na-umidi kufr hai aakhir jamadat se pahle bhi to kuchh maujud hoga bhai, khuda to tha us waqt bhi aur agar khuda hi hamara muntaha hai to aage badh kar na sahi pichhe mud kar sahi hum use pa hi lenge bas iman mazbut hona chahiye fana baqa aur laqa ki manzilen zarur aaengi hum pur-ummid hain