thaki thaki muzmahil hawa ke nahif jhonke ujad aangan mein aa ke kuchh der ruk gae the dabi zaban se suna rahe the wo ped jis ke sunahre patton rupahli shakhon pe ambarin phul gauharin phal saje hue the jhulas chuka hai wahan ke qurb-o-jawar mein kuchh riwayaten aur ajib qisse bhi us se mansub ho gae hain magar kisi ko khud apni tarik ruh ka jaise koi ehsas hi nahin hai