nida aai amboh-e-shaidaiyan nazninan-e-shahr-e-takhayyul ghazalan-e-fikr-o-nazar gham-gusaran-e-dar-o-salib-orasan dair se aqidat ki nayab saughat le kar dar-e-gumbad-e-fan pe sajda-kunan hain pae-didan-e-manzar-e-shad-kaaman badi tamkanat se utha uth ke main ne jo dekha to had-e-nazar tak farokash lahu ki lakiron ka ek karwan tha kabhi jo rag-o-pai mein meri rawan tha