aao ki mai-kadon mein guzaren tamam raat tanhaiyon mein sohbat-e-jam-o-subu rahe khamoshiyon mein kaifiyat-e-guftugu rahe yaadon ke pech-o-kham ko sanwaren tamam raat zahr-e-hayat dil mein utaren tamam raat ye dar jo band ho to kahin aur uth chalen zulmat badhe to aatish-e-gham tez-tar karen parwana-war jal ke banen khak-e-rah-nashin amboh-e-gard-baad mein raqs sharar karen uftadgi mein aarzu-e-baal-o-par karen le jaen kis ke pas ye dagh-e-khud-agahi ai soz-e-hijr koi tera raaz-dan nahin ye shahr-e-na-shanas ye virani-e-hujum is qafile mein ahl-e-nazar ka nishan nahin sab ajnabi hain koi yahan ham-zaban nahin baithen shafaq ke sae mein khun-e-jigar piyen aao ki rasm-e-ahl-e-kharabaat hai yahi har ishq-e-sakht-jaan ki mukafat hai yahi