wo tilismi dopahar thi sans lete ghas ke maidan mein sabz mitti se shuaen ug rahi thin aur tum kirnon mein apne thuthne gade hue dandanate phir rahe the main tumhaari jaan ka dushman ana ke hush-papi jute pahan kar apne kine ka naya kampa liye bartari ke bench par mahjub sa baitha hua ek purane jhut se daman chhudana chahta tha main ne dhire se tumhein aawaz di aawaz di to apni tedhi-medhi aankhon se mujhe tum ne ajab aalam mein dekha tha ki bas main ji pada tha meri aankhen jagmaga utthi thin mere andar titliyan udne lagi thin aur milan ki us ghadi mein us sunahre din ke pas-manzar mein tum hairan se apni dhun mein apni jawedan bad-surati mein ek chite ki tarah se khub-surat lag rahe the darte darte hairati red-indian amriciyon ki tarah dharti ki dhamak sunte hue tum pas aae pas aakar be-yaqini se mujhe takne lage the main tumhein taskin dena phir se bhalmansi ka rishta jod lena chahta tha aur apne sang-basta hath se jab tumhein sahla raha tha aur tumhaare khurdure baalon mein apni ungliyan uljha raha tha ek albeli masarrat ek nai lazzat mili wo jo nafrat ki kamani dil ki tah mein gad gai thi tutti jati thi mere andar ki kalen khulne lagi thi main pighalta ja raha tha wo hamari dosti wo hamari fath-mandi ka janam-din wo tilismi dopahar sans lete ghas ke maidan mein sabz miti se shuaen ug rahi thin