hawa ke parde mein kaun hai jo charagh ki lau se khelta hai koi to hoga jo khilat-e-intisab pahna ke waqt ki rau se khelta hai koi to hoga hijab ko ramz-e-nur kahta hai aur partaw se khelta hai koi to hoga koi nahin hai kahin nahin hai ye khush-yaqinon ke khush-gumanon ke wahime hain jo har sawali se baiat-e-e'tibar lete hain us ko andar se mar dete hain to kaun hai wo jo lauh-e-ab-e-rawan pe suraj ko sabt karta hai aur baadal uchhaalta hai jo baadalon ko samundaron par kashid karta hai aur batn-e-sadaf mein khurshid dhaalta hai wo sang mein aag, aag mein rang, rang mein raushni ke imkan rakhne wala wo khak mein saut, saut mein harf, harf mein zindagi ke saman rakhne wala nahin koi hai kahin koi hai koi to hoga