hawa ai hawa main tera ek ek ang lahra tha sadiyon tere sath dasht-o-daman koh-o-sahra mein aazad-o-sarshaar phirta raha hun samundar ki chhati pe sadiyon tere sath bad-mast o be-fikr chalta raha hun anokhi zaminon tilismi jaziron ko daryaft karta raha hun mujhe tu ne fitrat ke mabad sanam-khana-e-kaenat, aazari ke tilismat se aa ke bahar nikala mere khauf se kanpte dil ko wahmon se labrez aundhe hue kasa-e-sar ko sajde se tu ne utha kar unhen aagahi-o-amal ka naya nur bakhsha mujhe khud se aur khud ke bahar mazahir se sadiyon ham-ahang o ham-rutba hona sikhaya samundar ke dukh ko samajhne ki khatir ubalte hue garm pur-shor tufan ko chullu se napa hai main ne bayaban ki tanhai ko dur karne ki khatir main tapti hui ret par sadiyon piyasa hi paidal chala hun badalte hoe mausamon ka fusun tohne ko shab-o-roz main ne bahaar-o-khizan mein darakhton ke sayon se patton ki sansen gini hain zamane ka har sard-o-garm aazmane ko sadiyon hi tak main pahadon ki barfili choti se jwala-mukhi ke dahane se guzra kiya hun aur is par bhi jab na-tamami ka ehsas dasta raha apni takmil karne ki khatir sitaron ki pur-nur chaukhat ko chuma hai dharti ke tarik ghaaron mein khud ko pukara hai main ne gharaz zindagi ke har ek dard se khud ko angez-o-dam-saz kar ke hawa, ai hawa main ki tujh se bichhadne se pahle teri tarah aazad o sarshaar tha ab ye kas tarah ki munhamik, tutti zindagi hai? ki tu shahr shahr aagahi ki tag-o-taz sahne ke qabil nahin aur main shahr shahr ek pathar sa aan path pe behis pada ab teri sust-paimai aur apni bechaargi ka ye kis se gila kar raha hun