mukammal sher

ba-mushkil milne wale
qurb ke lamhon ko

yakja jod kar jo thi sajai
us pighalti sham

maddham raushni mein
restaurant ki mez par

jab chand mere sath baitha tha
masala chae ki chuski pe

us ke judwan lab ek dusre se mil rahe the
tab hamare hijr ki majburiyan misron mein lipta kar

use ek sher main ne yun sunaya tha
tumhaare nam se wabasta hai duri kuchh is had tak

tumhaara nam lun to lab bhi aapas mein nahin milte
mera ye sher sun kar us ne thodi der socha

aur phir dhire se apna nam honton par saja kar
us ne mere sher ki tasdiq kar di

aur mera likhna mukammal ho gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close