mukti

garajti
tut kar girti ghataen

aasmanon se musalsal sang-bari
nauhagar diwar-o-dar

zakhmi chhaten
shishon pe pani qatra qatra phailta badhta

phisalti tutti nannhi lakiren
jo thake hathon ki rekhaon ki surat

nit-nirale rup bharti hain
khala dil ka zara si der bhi khali nahin hota

use jo bhi mayassar ho wo bhar leta hai sine mein
tamanna phir tamanna hai

wo chahe maut hi ki ho
wahi dukhti ragon mein khun ke tufan thapede

phir wahi shishon pe badhte phailte jale
paron ki aakhiri be-jaan si

ek phadphadahat ke siwa kya hain
ye fariyaad-o-fughan nale

mujhe malum hai jab waqt bahta hai
to phir maujon mein kab wo farq karta hai

wo chahe pur-sukun hon
ya kisi sahil se apne sar ko takraen

sisakti rengti guzrin
tadap kar ret mein khud jazb ho jaen

wo chahen kuchh karen
kya farq padta hai

phisalti tutti nannhi lakiren
daraazon se nikal kar farsh tak aane lagin lekin

wo kitni dur tak yun reng sakti hain
dilase reshmi paigham khwab-aluda tamannaen

bhala is sang-bari ki sipar kaise banengi
hazaron kaenaten tutti banti hain har lahza

tanawar ped girte hain
chatanen reza reza ho ke nas nas mein khatakti hain

dariche pai-ba-pai barsat ke hamlon se andhe hain
faza gungi hai bahri hai

chalo ye zindagi aur maut donon aaj se mere nahin hain
meri aankhon ki binai

zaban ki tab-e-goyai
samaat lams sab kuchh aaj se mere nahin hain

chalo main bhi tamashai hun khud apne jahannam ka
meri duniya tamasha hai

main apne samne khud ko tadapta sar patakta dekh sakta hun
aur aisa mutmain hun aaj jaise ye janam mujh ko

abhi kuchh der pahle hi mila hai
aur kisi an-jaani duniya se

baraste baadalon ke sath aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close