umr us gupha mein reng aai hai jahan koi khar koi kankari nahin sondhi sondhi gili gili bas hai khuda ki narm narm chhanw hai maut ki mithas hai khuda ki narm narm chhanw hai hazar bar lad chuka hun ek ek khwab ke liye hamare darmiyan jang ho chuki hai aaj jab mere liye sulh ki ghadi hai phir kashakash-e-hayat ka naya sabab khada na kar meri aankh dekhne ka har azab sah chuki hai mujh ko mat dikha mere chahete sathiyon ke qafile jo faraaz-e-zindagi ki har samt ja rahe the sang-bariyon ki zad mein hain mere kan har sada ke zakhm kha ke pak chuke hain mujh ko mat suna mere baad aane walon ke dukhon ki dastan mat suna aaj jab mere liye sulh ki ghadi hai sab dukhon ki dhaar kund ho chuki hai sare sanp bichchhuon ka zahr mar chuka hai khwab-e-afrin hai nind aa rahi hai mujh ko mat jaga mujh ko mat dikha mujh ko mat suna