ek chaurahe pe sab log chale aate hain ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain an-ginat zawiye afkar ke le aate hain in khilaunon se wo azhan ko bahlate hain apne kartab pe wo ithlate hain itraate hain aur mauhum si taskin yunhi pate hain ek chaurahe pe sab log chale aate hain ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain un mein khush-kar bhi hain un mein riya-kar bhi hain un mein gham-khwar bhi hain un mein jafa-kar bhi hain khar-ha-e-mehn-o-dard ke tujjar bhi hain aur gul-ha-e-mohabbat ke kharidar bhi hain shoabda-gar bhi hain chaalak bhi ayyar bhi hain aur gardida-e-mehnat bhi hain fankar bhi hain un mein behosh bhi hain un mein junun-kar bhi hain un mein dana bhi hain bina bhi hain hoshiyar bhi hain ek chaurahe pe sab log chale aate hain ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain har musafir ko mulaqat ye ras aai hai is mulaqat se hasti ne jila pai hai is mulaqat ne ek raushni phailai hai log badhte hain to tahzib badha karti hai log ladte hain to tahzib mita karti hai ek chaurahe pe sab log chale aate hain ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain