ye raat us dard ka shajar hai jo mujh se tujh se azim-tar hai azim-tar hai ki is ki shakhon mein lakh mishal-ba-kaf sitaron ke karwan ghar ke kho gae hain hazar mahtab is ke sae mein apna sab nur ro gae hain ye raat us dard ka shajar hai jo mujh se tujh se azim-tar hai magar isi raat ke shajar se ye chand lamhon ke zard patte gire hain aur tere gesuon mein ulajh ke gulnar ho gae hain isi ki shabnam se khamushi ke ye chand qatre teri jabin par baras ke hire piro gae hain 2 bahut siyah hai ye raat lekin isi siyahi mein runuma hai wo nahr-e-khun jo meri sada hai isi ke sae mein nur gar hai wo mauj-e-zar jo teri nazar hai wo gham jo is waqt teri banhon ke gulsitan mein sulag raha hai wo gham jo is raat ka samar hai kuchh aur tap jae apni aahon ki aanch mein to yahi sharar hai har ek siyah shakh ki kaman se jigar mein tute hain tir jitne jigar se noche hain aur har ek ka hum ne tesha bana liya hai 3 alam-nasibon jigar-figaron ki subh aflak par nahin hai jahan pe hum tum khade hain donon sahar ka raushan ufuq yahin hai yahin pe gham ke sharar khil kar shafaq ka gulzar ban gae hain yahin pe qatil dukhon ke teshe qatar andar qatar kirnon ke aatishin haar ban gae hain ye gham jo is raat ne diya hai ye gham sahar ka yaqin bana hai yaqin jo gham se karim-tar hai sahar jo shab se azim-tar hai
This is a great shayari for baahon mein. True lovers of khamoshi shayari for friends will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this gulzar shayari on life in hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!