jo ho na saki baat wo chehron se ayan thi haalat ka matam tha mulaqat kahan thi us ne na thaharne diya pahron mere dil ko jo teri nigahon mein shikayat meri jaan thi ghar mein bhi kahan chain se soe the kabhi hum jo raat hai zindan mein wahi raat wahan thi yaksan hain meri jaan qafas aur nasheman insan ki tauqir yahan hai na wahan thi shahon se jo kuchh rabt na qaem hua apna aadat ka bhi kuchh jabr tha kuchh apni zaban thi sayyaad ne yunhi to qafas mein nahin dala mashhur gulistan mein bahut meri fughan thi tu ek haqiqat hai meri jaan meri hamdam jo thi meri ghazlon mein wo ek wahm-o-guman thi mahsus kiya main ne tere gham se gham-e-dahr warna mere ashaar mein ye baat kahan thi