main kisi kone mein khaif sa khada hun aur chhup kar dekhta hun an-ginat sayon ki bhid afraatafri mein har ek su aur karta hun tasawwur qaid hain sine mein ek ek sae ke bas mashini dhadkanen zehn hain bimar un ke qarz hai ehsan hai har sans un ki khokhli un ki nigahen dekhti hain par bina binai ke murda hain ehsas un ke ek nazuk nanha hath meri ek ungli pakad kar mujh ko wapas khinchta hai is bhayanak khwab se mutmain karti hai ek masum nannhi muskurahat zindagi zinda hai ab bhi