munjamid aankhen

khuli aankhon ko koi band kar do
khuli aankhon ki virani se haul aata hai
koi in khuli aankhon ko badh kar band kar do
ye aankhen ek anokhi yakh-zada duniya ki
sakit raushni mein kho gai hain
ab in aankhon mein
koi rang paida hai na koi rang pinhan hai
na koi aks-e-gul-ban hai
na koi dagh-e-hirman hai
na ganj-e-shaegan ki aarzu-e-be-nihayat hai
na ranj-e-raegan ka aks-e-larzan hai
agar kuchh hai to bas
ek yakh-zada naya ka naqsh-e-jawedan hai
ye aankhen
ab shua-e-arzu ki har kiran se yun gurezan hain
ki patthar ban gai hain
ye aankhen mar gai hain
This is a great anokhi dosti shayari. True lovers of chilam ganja shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore pyar paisa shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close