ek aawaz ubharti aa rahi hai dudhiya si raushni ek parda-e-binai se ho kar guzarti guzarti ja rahi hai salb hoti ja rahi hai quwwat-e-inkar bhi iqrar bhi kuchh ho raha hai ya kahun kuchh hai nahin malum kya hai aur kyun kuchh hai ek amboh-e-farawan jauq-andar-jauq sab afrad iqra ki taraf jate hue aur main udhar ghaar-e-hira ki chuhl-sala khamushi mein mahw hota ja raha hun ek 'hai' aur is qadar maujud la-maujud bhi 'hai' aur main ab us ko khuda mein qaid kar ke munkir-e-haq ho raha hun indar andar ro raha hun