qadam qadam pe aqidat se sar hai kham mera chala hai su-e-rah-e-mo'atabar qalam mera dil-o-dimagh ko uncha bana diya jis ne fuyuz-e-ilm se aala bana ya jis ne bade khulus se deta tha dars-e-insani hue hain jis ki badaulat zamir nurani wo jis ne rah-e-mohabbat dikhai thi hum ko wo jis ne rasm-e-ukhuwwat sikhai thi hum ko wo jis ne bartar-o-baala khayal bakhsha tha jo la-zawal hai aisa kamal bakhsha tha wo ek fikr jo ba-e'tibar karti hai nazar mein kabil-sad-iftikhar karti hai wo jis ne zist sajai jalae dil ke charagh usi ke soz ne bakhshi hamein mata-e-dimagh usi ne tarz-e-takallum ki chashni di hai usi ne ilm ki khush-rang zindagi di hai usi ne harf-e-hidayat se sarfaraaz kiya khuda ka shukr hamein aashna-e-raaz kiya gulon se pyar anadil se us ka yarana sukun-o-amn ka markaz tha us ka kashana mata-e-ilm lutati rahi hai zat us ki bahut daraaz thi zulf-e-nawazishat us ki rukh-e-hayat ko bakhshi hai ek jila us ne shuur zauq-e-nazar ka ata kiya us ne sukun dil ko mayassar tha us ki qurbat se hum ahl-e-hind ki azmat hai us ki nisbat se ufuq pe ubhra jo wo al-hilal ki surat jawan ho ke rahi al-balagh ki fitrat hain tazkire mein kuchh aise nuqush-e-fikr-e-jamil ghubar-e-khatir-o-khutabaat ki sajen qindil jo tarjuman se phaili kalam ki khushbu sanware us ne hi pechida aql ke gesu usi ne saz-e-adab ko sada-e-nau bakhshi shikasta-dil ko anokhi ada-e-nau bakhshi dayar-e-gul mein wo aaya tha muskuraata hua har ek khar-e-chaman ko gale lagata hua gulon ka rang saba ka shiar laya tha wo ek bahaar tha husn-e-bahaar laya tha na us bahaar se ab tak bhara tha dil apna ki chand lamhon ko us se laga tha dil apna qaza-e-husn chaman ko chaman se chhin liya shabab jaise naweli dulhan se chhin liya bahaar hai na wajud-e-bahaar baqi hai dilon mein yaad-e-numud-e-bahaar baqi hai buzurg-o-mukhlish-o-ali-waqar tha wo shakhs ki ek muntakhab-e-rozgar tha wo shakhs