hamare zehnon pe kitni sadiyon ke muhib andhere ki hukmarani mein ek mehr-e-la-zawal chamka tarik rahon ko raushni ka suragh mila nigah-o-dil ko nai manzilon nai rifaton nai azmaton ka pata bata kar amal ki ek sham-e-nau jala kar jis ne hamare wijdan-o-idrak ko jhinjhoda ghunudgi ke shikar-e-ehsas ko jagaya shuur ki be-hisi ko ek irtiash ki kaifiyat ata ki wo jaanta tha ki zist ke is be-nur sahra mein waqar-e-millat kahan nihan hai uruj ki dastan ke aaghaz ka ujala kahan chhupa hai wo jaanta tha ki tarikh-e-aqwam-e-alam mein zinda qaumon ki shanakht ilm ki badaulat hai aur ilm se dur rahne wali qaumen ek kasa-e-tahi ke siwa kuchh bhi nahin hain use is raaz-e-sar-basta ka irfan ho chuka tha ki ilm hi hai waqar-e-hasti bahaar-e-hasti isi liye aaj us ke dar par jabin-e-alam jhuki hui hai