main apne jism ke bahar khada hun in aankhon ke dariche se to ab basen sadken milon ki chimniyan municipality ka wo nal kodhi bhikari dhani-mal ka bahut uncha makan kuchh bhi nazar aata nahin ab in aankhon mein meri hazaron enginon ka shor hai kala dhuan hai magar dil ko lubhata hai abhi tak nil-gun duri ka manzar chand tare aasman dekhne ki khwahishen jagti hain mashini hath mujh ko dhundte hain main apne jism ke bahar khada hun