gaya din hui sham aai hai raat khuda ne ajab shai banai hai raat na ho raat to din ki pahchan kya uthae maza din ka insan kya hui raat khilqat chhuti kaam se khamoshi si chhai sar-e-sham se lage hone ab hot bazar band zamane ke sab kar behwar band musafir ne din bhar kiya hai safar sar-e-sham manzil pe kholi kamar darakhton ke patte bhi chup ho gae hawa tham gai ped bhi so gae andhera ujale pe ghaalib hua har ek shakhs rahat ka talib hua hue raushan aabaadiyon mein charagh hua sab ko mehnat se hasil faragh kisan ab chala khet ko chhod kar ki ghar mein kare chain se shab basar gharib aadmi jo ki mazdur hain mashaqqat se jin ke badan chur hain wo din bhar ki mehnat ke mare hue wo mande thake aur haare hue nihayat khushi se gae apne ghar hue baal bachche bhi khush dekh kar gae bhul sab kaam-dhandhe ka gham sawere ko utthenge ab taza-dam kahan chain ye baadshah ko nasib ki jis be-ghami se hain sote gharib