eshiyai mohabbat mein taza shumara nikalta nahin des walon ne aisi murawwat sikhai ki tartib se jal rahe hain charagh aur chaqmaq se raushni ka naya ek sharara nikalta nahin is aziyyat-bhari zindagi mein uburi zamanat ki koi suhulat nahin aabshaaron ke jharne saron ko jhukae hue gir rahe hain zamin apni gardish ke tabut mein qaid hai aur tabut mein hai meri zindagi jaan-e-jaanan suno bhag kar aa gaya hun sar-e-sham dariya kinare guman mein hai tera dwara zamane mein aise to mumkin nahin hai ki mandir mein sar ko jhukae rahe har pujari ki girjon ki chhaton pe latki rahin be-sada ghantiyan pet bharne ke jitne tariqe sahi chhod sakta hun main taqchon ki daradon se aati hui raushni chhod sakta nahin jaan-e-jaanan suno ye hadappa ka pani darawid ke bahte hue paniyon se mila chahta hai