hum jo ek jaan ke safar par hain rawan barson se hum ko malum nahin kab aur kahan khatm ho ye hum to bas tishna-dahan lab-ba-dua kushta-e-gham apne hone hi mein gum padh na sake hain ab tak waqt ke bab-e-nadamat mein nihan tahriren un ko padh lete to shayad na yun hairan hote ek tamashe ki tarah waqt pe uryan hote apni khwahish ko sar-e-bazm na ruswa karte apne lamhon ko kisi taur na zindan karte