murgh-e-marhum

ai mere murghe mere sarmaya-e-taskin-e-jaan
teri furqat mein hai be-raunaq mera sara makan

kaun dega raat ke barah baje uth kar azan
teri furqat mein ye dil tadpa jigar ne aah ki

kha gai tujh ko nazar shayad kisi bad-khwah ki
tujh ko laya tha karachi se ki palunga tujhe

mashriqi aadab ke sanche mein dhaalunga tujhe
muft-khoron ki nigahon se bacha lunga tujhe

tujh pe lekin maut ke dil-doz sae chha gae
hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae

tere ghamze zindagani bhar na bhulenge mujhe
phul si kalghi mulaem par na bhulenge mujhe

tere andaz-e-hasin yaksar na bhulenge mujhe
chhod kar mujh ko tu dast-e-dawar-e-mahshar mein hai

tera darba tujh se behtar hai ki mere ghar mein hai
main waba-e-am se tujh ko bachata rah gaya

tujh ko kitne qimti sharbat pilata rah gaya
tujh ko rani-khet ke tike lagata rah gaya

mere injection tujhe lutf-e-fana dene lage
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage

teri surat jab bhi yaad aai jigar tadpa gai
teri furqat mein mere panw mein kal moch aa gai

khamushi si meri duniya-e-nazar mein chha gai
kar ke bahr-e-gham mein meri kashti-e-dil pash-pash

bazi-e-goi ki daman tar makun hushiyar bash
dastan-e-murgh ek dard-e-nihan sabit hui

ye pareshani nashat-e-dushmanan sabit hui
doston ki har tasalli raegan sabit hui

dost gham-khwari mein meri sai farmaenge kya
ek ek murgha utha kar ghar se le aaenge kya

ai mere murghe tumhaare tazkire honge yahan
main bana dunga tumhaari har ada ko jawedan

ho mubarak tum ko murghe gosha-e-murgh-e-jinan
main tumhaari yaad se qalb-e-hazin bahlaunga

ghar ke aage main tumhaara maqbara banwaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close