na mera makan hi badal gaya na tera pata koi aur hai meri rah phir bhi hai mukhtalif tera rasta koi aur hai pas-e-marg khak hue badan wo kafan mein hon ki hon be-kafan na meri lahad koi aur hai na teri chita koi aur hai wo jo mahr bahr-e-nikah tha wo dulhan ka mujh se mizah tha ye to ghar pahunch ke pata chala meri ahliya koi aur hai meri qatila meri lash se ye bayan lene ko aai thi na de mulzima ko saza police meri qatila koi aur hai jo sajai jati hai raat ko wo hamari bazm-e-khayal hai jo sadak pe hota hai raat din wo mushaera koi aur hai kabhi 'mir'-o-'dagh' ki shairi bhi moamla se hasin thi magar ab jo sher mein hota hai wo moamla koi aur hai tujhe kya khabar ki main kis liye tujhe dekhta hun kan-ankhiyon se ki barah-e-rast nazare mein mujhe dekhta koi aur hai ye jo titar aur chakor hain wahi pakden un ko jo chor hain main chakor-akor ka kya karun meri fakhta koi aur hai mujhe man ka pyar nahin mila magar is ka bap se kya gila meri walida to ye kahti hai teri walida koi aur hai