murgha murghi pyar se dekhen nanha chuza khel kare main kis ko bolun jo mere mata-pita ka mel kare chidiya aur chida mil-jul kar dana dunka lae apne chhote se bachche ko khol ke chonch khilae main jab apne bhag ko sochun aankh mein aansu aae murgha murghi pyar se dekhen sath ke ghar ka nanha bachcha mata-pita sang khele mera bachpan mata-pita ki duri ka dukh jhele koi mujhe mera ghar de de mahle do mahle le le murgha murghi pyar se dekhen badon ke aage baat karen ye hum bachchon ka kaam nahin jab tak un ka man na pighle apne liye aaram nahin us ghar mein kya rahna jis mein sita ke sang ram nahin murgha murghi pyar se dekhen