murghabi

dhal gaya din aur shabnam hai zamin par qatra-rez
gosha-e-maghrib mein gulgun hai shafaq se aasman

pad rahi hain dur tak suraj ki kirnen zard zard
ja rahi hai to akeli sham ko udti kahan

dekhta hai kyun abas sayyaad su-e-asman
yas ki nazron se teri shaukat-e-parwaz ko

arghawan-zar-falak ke manzar-e-khush-rang ne
kar diya hai aur dilkash tere naqsh-e-naz ko

dhundti phirti hai kya koi suhana aabshaar
ya ki sar-garm talash-e-daman-e-dariya hai tu

ya kisi bahr-e-tamawwuj-khez ki hai justuju
yun sukut-e-sham mein kyun aasman-paima hai tu

tu jo be-sang-e-nishan-e-jada-o-be-marhala
kar rahi hai aasman par qata tabqat-e-hawa

ud sake be-badraqa tu ye kahan teri majal
koi taqat hai magar teri muqarrar rahnuma

ai subuk-parwaz! teri surat-e-parwaz ne
tai kiye kitne hi din bhar sarw-tabqat-e-nasim

ho ke damanda zamin par gar na shahpar jod kar
shab ki zulmat ka hai garche sar pe tufan-e-azim

ho chuki teri mashaqqat khatm tujh ko an-qarib
garmiyon ka ek suhana ghar milega khush-gawar

gati hogi chhoti chidiyon mein ham-ahangi se tu
aur nasheman par tere hogi niyastan ki bahaar

ho gai ghaeb faza-e-asman mein garche tu
aur ab aankhon mein hai tera tasawwur yaadgar

main ne sikha hai sabaq lekin teri parwaz se
hai tariq-e-zindagi mein tu meri aamoz-gar

mantiqa se mantiqa tak ai subuk-parwaz-shauq
wusat-e-auj-e-falak par hai jo tera rahbar

mujh ko bhi le jaega wo manzil-e-maqsud tak
jab karunga jada-e-hasti se main tanha safar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close