aao us yaad ko sine se laga kar so jaen aao sochen ki bas ek hum hi nahin tirah-nasib apne aise kai aashufta-jigar aur bhi hain ek be-nam thakan ek pur-asrar kasak dil pe wo bojh ki bhule se bhi puchhe jo koi aankh se jalti hui ruh ka lawa bah jae chaarasazi ke har andaz ka gahra nashtar gham-gusari ki riwayat mein uljhe hue zakhm dardmandi ki kharashen jo mitae na miten apne aise kai aashufta-jigar aur bhi hain lekin ai waqt wo sahib-nazran kaise hain koi us des ka mil jae to itna puchhen aaj-kal apne masiha-nafsan kaise hain aandhiyan to ye suna hai ki udhar bhi aain konplen kaisi hain shishon ke makan kaise hain