ai mere mazi ki bichhdi hui raho khayal-e-yar se badh kar hasin shah-raho sada na do mujh ko ki sar-zamin-e-watan par kisi bhi aangan ke kisi daraaz badan dar ke khub-ru se mathe par mere khayal mein dilkash hasin nam ki tahrir katib-e-waqt ne nahin likhi ki main hawa-e-dahr hun bhatakna nagar nagar ajnabi dayaron mein mera muqaddar hai musafiron ke thikane kahin nahin hote ki dastaras mein hon jin ke sirf ghanim-e-dauran rafiq un ke zamane nahin hote