mere shahar mein meri aakhiri wo ajib shab thi visal ki ki chaman mein chhaya dhuan sa tha kahan shabnami wo bahaar thi wo chameli khushbu bikherti wo bhari si shakhen gulab si ki har ek patti thi nauha-khwan thi kali kali bhi nidhaal si the wo mujh se jaise gila-kunan main chali hun kyon unhen chhod ke thin larazti kanpti daliyan ki labon pe sab ke the marsiye ye bayan karte the pairahan hamein khud se tum na juda karo teri khushbuon mein base hain hum hamein apne sath hi le chalo tha ajib shor sa har taraf ki samaaten bhi laraz gain meri siskiyan meri aahen bhi mere dil mein khauf se ja chhupin na samay ruka na main ruk saki ki watan hi mujh se bichhad gaya wahi mitti jis ka khamir thi wahi shahar mujh se bichhad gaya