mashinon se use nafrat thi lekin kar-khane mein mashinon ke siwa un ka koi hamdam na sathi tha wo khwabon ka musawwir jis ke khwabon mein umuman talkhiyan bhi rang bharti thin kabhi man ki dawa bahnon ki shadi kabhi yaad-e-watan ki chashni wisky ki kadwahat to us ke apne andar ka musawwir us se kahta tha main qaidi hun mujhe bahar nikalo mujhe izhaar ke sanchon mein rakh kar libas-e-sham pahna do sahar ki tazgi le kar mujhe rangon se nahla do magar ek din use ku-e-malamat se nikalna tha mashinen chal rahi thin aur us ka hath us ke jism se kat kar zamin par gir pada tha wahin man ki dawa bahnon ki mehndi aur bima ki raqam lahu mein tar-ba-tar thi