ab koi phul mere dard ke dariya mein nahin ab koi zakhm mere zehn ke sahra mein nahin na kisi jannat-e-arzi ka hawala mujh se na jahannam ka dahakta hua shoala koi mere ehsas ke parde pe rawan rahta hai main kahan hun? mujhe malum nahin!! bolte lafz bhi khamosh tamannai hain jagte khwab ki tabir yahi hai shayad meri taqdir yahi hai shayad main jise dekhna chahun mujhe andha kah de! kaun hun main mujhe ai dida-e-bina kah de! zindagi kyun kisi mafhum se aari hi rahi dhup mein jism sulagte hi chale jate hain maut ka khauf simatta hai bikhar jata hai fakhta jaise kisi ped ki shakhon mein chhupi baithi ho sans sine mein kisi tir ki manind utar jati hai munh chhupae hue suraj bhi fana ki taswir pyas ban kar kisi dariya mein utar jata hai aas ne yas ke mahtab se khushbu mangi chehra-e-gul pe kisi qatra-e-shabnam ki dua utri hai