lakiren zindagi ki uljhanen bhi hain lakiren mast dhaare ka sukun bhi hain lakiren bhagte aur shor karte din ka hangama lakiren retile sahil ki bhigi raat ki nagin ka saya bhi kabhi rangon ki aawazon mein hai unchi munderon ke aqab se jhankne wale sunahre chand ka naghma nai rut konpalon aur pattiyon phulon ki khushbuen kabhi rangon ki aawazen darakhton ke sulagte aansuon ka dard maddham sa kahin taron ki malaen liye aakash ki maghmum si dewi kabhi ye rang mere zehn ki bhatti ke kundan se damakte surkh angare kabhi roti hui is zindagi ke dard ka matam kahin in aansuon mein qabr si galiyon ka sannata kahin kohre mein kafnai hui shamen guzarti hain