ye hawa ka khel hai main bhi nahin tu bhi nahin hai sham ke raste pe udti dhul ke khake hain hum sans uljhi si lakiren rang aawazon ke diwaron pe mitti ke purane naqsh hain sard sah-pahron mein jaldi jaldi chalti dhup ki tarah rawan hain hont aur ye hath sare be-nishan hain sham ki dahliz se aage purana sa koi ghar hai jahan main bhi hun tu bhi jahan hai is jagah koi nahin main bhi nahin tu bhi nahin