mushaere mein jo shaer bulae jate hain bade saliqe se budam banae jate hain wasul hote hain pahle ye nama-o-paigham ki ai shahanshah-e-aqlim-e-'hafiz'-o-'khayyam' hamari bazm-e-adab ka hai jashn-e-salana jali hai sham-e-sukhan raqs mein hai parwana ghata jo sheron ki chaaron taraf se aai hai wo film ke bhi sitare samet lai hai guzishta sal suna jis ne aap ko ye kaha na shoale mein ye karishma, na barq mein ada aur ab ke sal bhi khud dekh lenge ye sarkar ki gunjte hain aqidat se kucha-o-bazar rawana kar den kirae ki gar zarurat hai wo aaen ghar mein hamare khuda ki qudrat hai hamare shahr mein urdu adab ka danggal hai ye shahar sher ka aur shaeron ka jangal hai ab is pe shaer-e-shirin-nawa ko hai ye guman ki mere shoale se raushan hui hai shama-e-bayan idhar se muntazim ek soch aur bichaar mein hai use khabar hai ki shaer kis intizar mein hai bulane ke liye israr bhi wo karta hai kiraya le ki na phir aae is se darta hai bana ke likhta hai dawat ka is tarah maktub mushaere mein diya jaega jo hai matlub gharaz bulate hain wo shaeron ko hile se payam aate hain ahbab ke wasile se jo sher sunne ko apne gharon se aate hain wo sab bater ladane ka lutf uthate hain wo jaante hain ki shaer hai ek murgh-e-ajib agar gala hai to shaer, nahin gala to adib ye sochta hai chalo qismat aazma dekhen suluk hota hai auron ke sath kya dekhen bahut se aur bhi shaer wahan par aaenge chalo ki marg-e-raqiban ka lutf uthaenge hain kuchh pale hue shaer kuchh in mein khud-raw hain purane ghag hain kuchh in mein shaer-e-nau hain wo didani hai agar ho kuchh in mein hangama ki is akhade ka har pahlwan hai allama satate rahte hain shaer ko aise andeshe yahan talak ki nikal aaen rishte aur reshe talluqat se aakhir ko ho ke wo majbur mushaere ko chala jaise kaam par mazdur kisi se qarz liya aur kisi ki minnat ki gharaz ki shaer-e-atish-nawa ne rahlat ki phansa hai is liye phande mein shaer-e-sada ki muntazim bhi the hushiyar ye bhi aamada wo aa gaya hai utha kar hazar dushwari chale jilau mein use le ke us ke darbari kisi ke hath mein pan aur kisi ke hath mein haar har ek ye kahta hai zahmat bahut hui sarkar mushaere mein qadam-ranja aap farmaen to ahl-e-zauq nashiston mein aa ke bhar jaen tadap rahe the jo sunne ke waste ashaar mushaere ke liye un ke pas hain darkar ticket kharid ke jo ahl-e-zauq aae hain wo aakhiri safon mein khud-bakhud samae hain moazzezin jo zauq-e-adab se khali hain reserwe un ke liye agli saf kara li hain ye is liye ki nazar mein wo aap ki bhi rahen jo sher wo na samajh paen aap wo na padhen mushaere mein khwatin bunti hain sweater sambhal ke baithe hain shaer ki tak mein hooter padha mushaera shaer ne ehtimam ke sath ghazal sunai tarannum ki dhum-dham ke sath kisi ne wah kaha aur kisi ne hut kiya mushaere ko ye samjha ki main ne lut liya isi pe phula hua hai wah-wah hui tamam raat kati nind bhi tabah hui ye mahfil aa hi gai roz-o-shab ki sarhad par janab-e-sadr bhi ab so chuke hain masnad par jo samain hain un par bhi nind tari hai sawari us ko mili jis pe fazl-e-bari hai jo muntazim the sitaron ke sath dub gae gae wo shaeron se chhup ke aur khub gae numud-e-subh se jab muntashir hui mahfil akela rah gaya shaer gharib-e-shahr o khajil mushaera ba-juz andaz-e-haw-hu kya hai tumhaare shahar mein 'ghaalib' ki aabru kya hai
This is a great omar khayyam shayari. Please share if you liked this!!!