aakhiri bar milo aise ki jalte hue dil rakh ho jaen koi aur taqaza na karen chaak-e-wada na sile zakhm-e-tamanna na khile sans hamwar rahe shama ki lau tak na hile baaten bas itni ki lamhe unhen aa kar gin jaen aankh uthae koi ummid to aankhen chhin jaen is mulaqat ka is bar koi wahm nahin jis se ek aur mulaqat ki surat nikle ab na haijaan o junun ka na hikayat ka waqt ab na tajdid-e-wafa ka na shikayat ka waqt lut gai shahr-e-hawadis mein mata-e-alfaz ab jo kahna hai to kaise koi nauha kahiye aaj tak tum se rag-e-jaan ke kai rishte the kal se jo hoga use kaun sa rishta kahiye phir na dahkenge kabhi aariz-o-rukhsar milo matami hain dam-e-rukhsat dar-o-diwar milo phir na hum honge na iqrar na inkar milo aakhiri bar milo
This is a great mata jagran shayari. True lovers of bhaijaan shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this holi shayari radha krishna is truly a work of art. Please share if you liked this!!!