diwar mein rauzan to hua karte hain lekin dil mein nahin hota koi is daur mein rauzan padti hai nazar sab ki tamashon pe jahan ke rahta hai nigahon se chhupa sine ka darpan deti hai har ek chiz zamane ki dikhai hota nahin khud apna hi didar mayassar bahar ke manazir mein hain uljhi hui nazren aankhon se hain ojhal wo nazare jo hain andar