pani se huwaida hoti hai duniya mein khuda ki rahmat bhi pani mein dikhai deti hai taswir-e-azab-o-lanat bhi pani ki badaulat milti hai insan ko ghiza ki neamat bhi sailab ki surat mein pani lata hai jahan par aafat bhi ek jhil ke gahre pani par is waqt jami hai meri nazar afkar hain danwa-dol mere jazbaat hain mere zer-o-zabar main khushi khushi utrun is mein aur sath pe tairun hans hans kar ya dub ke is ki lahron mein pa jaun gham-e-hasti se mafar