mushahida

ru-e-mahtab ki zau-fishani liye
sach ki parchhaiyan raqs mein hain magan

soz-e-pinhan liye jaan-e-uryan liye
kahkashan kahkashan raushni ke diye

maujzan zau-fagan arsh se farsh tak
azm ka hath mein apne parcham liye

chashm-e-bina agar hai to tum dekh lo
ya kisi banda-e-haq se tum puchh lo

qalb-e-raushan agar hai to ai ham-nashin
shab ki tarikiyan zulf ke pech-o-kham

tar-e-resham ki surat nikhar jaenge
jitne nasur hain dil ke bhar jaenge

jhut khud aag mein apni jal jaega
surat-e-khak har-su bikhar jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close