ye kachchi kaliyan gulab jaisi ye kis ne in ko masal diya hai ye kis ne in ko kuchal diya hai ki shah-rahon mein hain fasurda kahan hain mali kahan hain ghunche kahan gae sab muhafiz-e-gul lahu ka kis ne khiraj manga ki sahn-e-gulshan lahu lahu hai kabida mali fasurda ghunche hadon se apni guzar gae hain idhar udhar sab bikhar gae hain hisar-e-zulmat mein kho gae hain hai kaun un ko azan de kar safon mein la kar khada karega hawas ke bandon ko dars dega diya jala ke ukhuwwaton ka ye zulm hum sab sahenge kab tak ye aashiyane jalenge kab tak udas gulshan rahega kab tak ye khun-e-nahaq bahega kab tak udas naslon ke wariso tum lahu ka kab tak khiraj doge ana ki murat ko tod dalo hawas ke bando sitam-zarifo ukhuwwaton ka salam le kar mohabbaton ka payam le kar badho ki manzil pukarti hai badho ki manzil pukarti hai