raqs karti hui gungunati hui muskuraati hui zindagi kya hui jagmagate hue shahr ko kya hua raushni kya hui phul jaise badan rang-o-bu ke chaman pyar ke sahilon ki faza phul ki daliyon se lipatti hawa chashm-e-ehsas ke samne dur tak aaj kuchh bhi nahin ahd-o-paiman ke rishton ko kis ki nazar kha gai dosti kya hui kitne gul-rang paikar mile khak mein kitne kadiyal jawan apne sinon pe zakhmon ke tamghe sajae shahadat ke darje pe faez hue har taraf hai dhuan shor-e-ah-o-fughan wahshat-e-be-aman dasht o dar hain sawali batae koi zindagi kya hui raqs karti hui gungunati hui muskuraati hui zindagi kya hui